Amitabh: Bilkul sahi utar aapka. Bahut soch samaj ke aapne utar diya. 3,20,000 rupay jeet gayi hai. Dusra padav aa gaya hai. Yeh hai 6,40,000 ka. Isse paar kar jaayega toh kam se kam aaj 6,40,000 aap yaha se lekar jaayega.
Amitabh: Khel ka dusra padab, aathwa prashna Deepa jee, 6,40,000 rupai, screen ke upar ye raha.
Amitabh: Khel ka dusra padab, aathwa prashna Deepa jee, 6,40,000 rupai, screen ke upar ye raha.
Shahtoosh, ek vishesh prakar ke uttam shawl ka naam hai. Isse kis jaanwar ke baalo se banaya jaata hai.
Shahtoosh, is the name given to a specific kind of exquisite shawl, made from the hair of which animal?
Amitabh: Option suniye.
Deepa: Hummain chiru lag raha hai. Hum ek baar Kashmir gaye the aur guide kuch keh raha tha aaisa kuch. Chiru, Chiru lag raha hai hum main.
Amitabh: 35 sec reh gaye hai. Sahi uttar 6,40,000
Deepa: Lifeline lege
Amitabh: Lifeline lege. Shaant ho jaaye tukur tukur jee. Kaun se lifeline ismataal karege.
Deepa: 50-50
Amitabh: Jee. Computer mahashaya, Deepa jee apni 50-50 lifeline istamaal karegi. Isse ankit kiya jaaye. Computer mahashaya joh do galat options hai unko nikal diya jaaye. Tukur Tukur jee chal pade hai.
Deepa: Sir Chiru pe lock laga dijiye. Jaha tak
Amitabh: Final, fully final?
Deepa: Haan, Chiru
Amitabh: Chiru, aankh kyu band kar dee aapne?
Deepa: Dar lagta hai.
Amitabh: Lock kar diya jaaye?
Deepa: Kar dijiye.
Amitabh: Computer mahashaye, C. Chiru pe tala lagaya jaaye.
Amitabh: Aakh band karne ke bilkul jarurat nahi hai. Yeh bilkul sahi uttar hai aapka. Rs. 6,40,000 jeet gayi aap. Aur ek cheque aa gaya hai aapke naam. Rs. 6,40,000 rupai ka cheque. Yeh aapka ho gaya. Isse rakhiye apne paas. Kya kijiyega 6,40,000 rupai ka?
Deepa: Abhi toh, isse toh matlab thoda humare clinic ko thoda acha bada banayege.
Amitabh: Bahut bada banyega clinic ko.
Deepa: Haan kuch achi jagah pe hum usko set karege.
Amitabh: Matajee ke kuch armaan?
Deepa: Nahi, isse kuch nahi hoga.
Amitabh: Nahi, humne aapse pucha hi nahi. Mataji se pucha. Aap shaat beithe rahiye. Jee Mataji.
Deepa's Mother: Iske clinic main jaisa yeh karegi.
Amitabh: Nahi nahi joh inhone kaha waisa mat aap kahiye.
Deepa's Mother: Nahi Sir.
Amitabh: Aapke man ke andher jo dhaarna ho, woh aap bhol sakti hai.
Deepa's Mother: Nahi nahi. Mere man main koi dharna nahi hai.
Deepa: Inke dimag main na iss samah ek hi baat chal rahi hai. Uske alawa kuch chalta hi nahi hai.
Amitabh: Kee inka pati kab aane wala hai.
Deepa: Haan.
Deepa's Mother: Ek acha ladka mil jaaye uske liye.
Deepa: Meri mummy apne sapno ka damad dundne aaye hai.
Amitabh: Acha. Iss kariyakaram ka naam hai Kaun Banega Crorepati.
Deepa: Kaun Banega Deepa ka pati.
Amitabh: Yeh kariyakaram ka naam nahi hai ke Kaun Banega Pati. Kher, aap Rs. 6,40,000 jeet gayi hai, Deepa jee. Dusra padav aapne paad kar diya hai. Do lifeline chali gayi. Ab aapke paas samah hi samah hai. Ab aa raha hai navah prashna aapke jeevan main. Iska mulaya hai Rs. 12,50,000. Satkoti Sandook khul gaya hai. Lekin pehle waha pauchne ke liye aapko navah prashna ka uttar dena padega. Agla prashna, navah prashna aapke screen ke upar Deepa Sharma jee yeh raha.